
KYUN ZINDAGI KI RAAH MEIN
Kyun zindagi ki raah mein, majboor hoh gaye[2]
Itne hue kareeb ke hum dooor hoh gaye...
Kyun zindagi ki....
Aiasa nahi ke humko koi bhi kushi nahi[2]
lekin ye zindagi bhi toh koi zindagi nahi...
Kyun iske phaisle humein manzoor hoh gaye?
Itne hue kareeb ke hum dooor hoh gaye...
Kyun zindagi ki....
Paya tumhe toh humko laga, tumko kho diya[2]
Hum dil pe roye, aur ye dil, humpe roh diya..
Palko se khwab kyun gire kyun choor hoh gaye?
Itne huye kareeb ke hum dooor ho gaye...
Kyun zindagi ki raah mein majboor hoh gaye
Itne huye kareeb ke hum dooor hoh gaye.
AUR KYA AIHDE WAFAH HOTE HAI
Aur kya aihde wafah hote hain..[2]
Log milte hain juda hote hain...
Aur kya aihde....
Kab bichaadh jaye , humsafar hi toh hain[2]
Kab badal jaye, ek nazar hi toh hai...
Jaan aur dil jispe phida hote hain..
aur kya aihde wafah hotein hain..
Baat nikli thi iss zamane ki,
Jisko aadatt hai bhoo jane ki...[2]
Aap kyun humse khapha hote hai..?
Aur kya aihde wafan hote hain...
JAb rulla lete hai jee bhar ke hume,
Jab sata lete hai jee bhar ke hume..[2]
Tab kahin khush woh zara hote hai...
Aur kya aaihde wafah hote hai..
Log milte hai juda hote hai...
Aur kya aaihde wafah hote hai?
MANA TERI NAZAR MEIN
Mana teri nazar mein tera pyar hum nahi..[2]
Kaise kahein ke teri talakgar hum nahi...!
Mana teri nazar mein...
Tann ko jala ke rakh, banaya biccha diya[2]
Lo abb tumhari raah mein, deewar hum nahi..
Mana teri nazar mein...
Jisko nikhara humne tamanna ke phool se,[2]
Gulshan mein uss bahar ke hakkdar hum nahi..
Mana teri nazar...
Dhokha diya hai khud ko, muhobatt ke naam par[2]
Ye kis tarah kahein ke gunehgar hum nahi...
Mana teri nazar mein tera pyar hum nahi..
Kaise kahein ki teri talakkgar hum nahi..
Mana teri nazar mein...
KABHI KISIS KO MUKKAMAL JAHAN
Kabhi kisi ko mukkamin jahan nahi milta..[2]
Kahin jameen toh kahi aasman nahi milta..
Kabhi kisis ko....
Jisse bhi dekhiye, woh apne aap mein ghum hai[2]
Zubaan mili hai magar, humzuban nahi milta[2]
Kahin zameen toh kahin...
Bujha saka hai bhala, kaun wakt ke shole[2] ?
Ye aaisi aag hai, jisme dhuaa nahi milta.[2]
Kabhi kisi ko ...
Tere jahan mein, aisa nahi ke pyar na hoh[2]
Jahan umeed hoh iski, wahan nahi milta[2]!
Kabhi kisis ko mukkamin jahan nahi milta
kahin zameen toh kahin aasman nahi milta.
No comments:
Post a Comment